Query:
Main, city “Gorakhpur” U.P Se hoon.
Sir main ye jaanna chahta hoon ki franchise kya hoti hai , iska kya matlab hai
Aur , agar mujhe kisi pharma company ka business karna hai , for example: Mere city mein bahut se log hain jo kehte hai ki meri ye company hai Aur meri company ke ye ye products hain (Medicines .like tablet, capsules , syrup etc) Aur doctors unke ye products apne prescription me likhte hain. Aur is tarah se unke products ki sell hoti hai aur unka business chalta hai.
Sir , main ye janna chahta hoon ki ye company inko kaise milti hai
Aur Agar is tarah ka business main shuru karna chahoon to iske liye mujhe kya karna hoga iska process kya hai
So, Kindly can you please guide me
Response:
Pharma Franchise me aap kisi bhi pharma company ke products ki marketing aur sale krte ho. Yah ek trah se mutual beneficial agreement hota hai jisme company apni sari product apko apne area me provide apko monopoly rights me deti hai or aap company ko business. Jyada janne ke liye yha click kre
Products net price ya manufacturing cost me kuch profit jod kr apko provide kraye jate hai or aap usko PTR/PTS ya MRP basis pr bech dete hai. PTS/PTR ke bare me adhik janne ke liye yha click kre
Isse company ka marketing expenses bach jata hai or aap badi investment krne se bach jate hai aur monopoly rights ki vajah se apko work ki freedom mil jati hai. Apna profit margin janne ke liye yha click kre
Company choose krne ke liye aapko franchise company select krne ke liye apko phle company choose krke, unse baat krke, unse price list mangwa kr, deal final kr skte hai. List of franchise company ke liye yha click kre
Frachise marketing suru krne ke liye adhik janne ke liye aap humara article: How to get franchise of any company?
Hope this information will be helpful to you…
For any query and suggestion, mail us at pharmafranchiseehelp@gmail.com