Ayurvedic marketing company ka registration india level par kaha hoga?

Query:

Ayurvedic marketing company ka registration india level par kaha hoga..please mujhe bataye

Response:

Ayurvedic Marketing Company ke registration ke liye aapko mainly teen chizo ki jrurt hai:

Kintu aap kewal GST number ke sath hi apni ayurvedic company suru kr skte hai… GST number ki requirement aap niche diye article me pad skte hai.
How to apply for Goods and Service Tax Identification number?

Aap apni company ko private limited by kara skte hai or Apni company ka naam or products ke brand name ko trademark ke under registered kra skte hai…

Read requirement here: How to register a Company and Trade Mark Registration?

Aap apne products third party basis pr bnwa skte hai. Third party manufacturing product list mail ke sath attach kr rhe hai. Aap check kr skte hai. Ayurvedic Third Party Manufacturing ke liye aap ELzac Herbal India se contact kr skte hai..

Query:

sir aapne mujhe pahle jo jaankari send kiye the usske liye aapka bahut-bahut thanks. sir GST to hum apne sahar ke sale tax office se le sakte hai. lekin company ka aur trade mark ka registration kaha hoga, delhi karwana hoga ya mere state bihar me hi ho sakta hai.

Response:

Company registration apke state me hi ho jayega. Iske liye aapko pta krna padega ki aap kahan pr company ko register kra skte. C.A. ya accountant vagrah aapki company ke registration ke bare me bta denge.

Trademark ke India me panch office hai: Delhi, Ahemdabad, Kolkatta, Chennai or Mumbai. In pancho jagah me se kahi bhi aap trade name or trade mark registartion kra skte hai. Income tax ke advocate ya dusre advocate aapke shahr se hi trade mark aaply kra skte hai kintu unhe bhi in pancho me se kisi ek jagah registration krana padega.

Aap online search krke trade mark registration firms ko contact krke registartion kra skte hai. Ya jab bhi apko trade mark registration krana ho, aap hume contact kr skte hai, hum aapka trade mark apply kra denge. Humare pass kuch trade mark firms hai jo yah kam krti hai…..

Query:

Sir whole sale registration, GST registration, government office dwara company registratin, ke baad hum manufacture company se hum apne marketing company ke liye product banwa kar manga sakte hai.

Sir main aapse jaankari chahta hu ki market me product aane ke baad agar uska response thik rahta hai tab hum kyo n uska trademark registration karwaye….,uske alawa mujhe please ye bataye ki iso se company registration kaise karwaya jaata hai aur iso kya hai..agar government registered company hai to iso registration jaruri hai ki nahi…?,please sir mujhe ye jaankari send kare………

Response:

Han aap usko bad me trademark kara skte hai. Trade name registration brand ki security ke liye hota. taki koi same brand se apna product na bnwa le or apki mehnat khrab ho jaye.

ISO certification koi jyada badi cheez nhi hoti. Usme yah dekha jata hai ki apka sb work ek predefined way se yani systematic tarike se krte hai. ISO ka purpose apke work ki quality or efficiency ka pta krna hota hai.

ISO certification or Government registration do alag alag cheeze hoti hai. Inka aapas me koi connection nhi hota. Iso registartion marketing or promotion ke acha mana jata hai…

Hope above information was useful to you.   For more information, contact us at pharmafranchiseehelp@gmail.com


Posted

in

by

Tags:

Comments

3 responses to “Ayurvedic marketing company ka registration india level par kaha hoga?”

  1. Jaydeep Bavarva Avatar
    Jaydeep Bavarva

    Hello Sir,

    Kya trade name aur website name (domain name) ek hi hona jaruri hai? Me online selling ka business karta hu, me multiple website chalata hu. Please sir reply.

    1. Ajay Kamboj Avatar

      ji sir,
      trade name aur website name dono alag alag ho skte hai. isse koi jyada fark nhi pdta

  2. Aditya mishra from bihar Avatar
    Aditya mishra from bihar

    Dear sir kripaya aap apna mob. No ya whatsapp. No bheje

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *